Door nighaon se bar bar jaya na karo Dil ko iss kadar tadpaya na karo Tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum Yeh ehsas bar bar dilaya na karo..!
Pyaar wo ehsaas hai jo mitata nahi, Pyaar wo parwat hai jo jhukta nahi, Pyaar ki keemat kya hai humse pucho, Pyaar wo anmol hira hai jo bikta nahi
Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota, Har musafir zindagi ka sahara nahi hota, Milte hain bahot insaan is tanha is zindagi mein, Par har insaan tumhare jitna pyaara thodi na hota hai.
Zindagi ek chahat ka silsila hai, Koi mil gaya to koi bichad gaya, Jise har pal maanga maine duaon mein, Khuda se mujhe wo bina maange hi mil gaya.
Hum Agar Aapse Mil Nahi Paate
Aisa Nahi Hai Ki Aap Hamein Yaad Nahi Aate
Maana Jahan Ke Sab Rishte Nibhaye Nahi Jaate
Lekin Jo Dil Me Bas Jaate Hain Unhe Bhulaya Nahi Jaate.
Mera har lamha chura liya aapne,
Aankhon ko ek chand dikha diya aapne,
Hamein zindagi di kisi aur ne,
Par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.
Pyaar Me Milna Jaruri Nahi,
Pyaar Mein Izhaar Bhi Zaruri Nahi,
Zaruri Sirf Ehsaas Hai Jo Zindagi SaNwaar de,
Unhe PaAna Ya Na Pana Zaruri Nhi…
Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Me Bas Jaaye,
Saans Bhi Lo To Khushbu Usi Ki Aaye,
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Chaa Jaaye,
Baat Kuch Bhi Na Ho Par Naam Usi Ka Aaye…
Rishton ki dori kamzor hoti hai,
Aankhon ki baatein dil ki chor hoti hain,
Khuda ne jab bhi poocha dosti ka matlab,
Hamari ungli aapki aur hoti hai…
Ek mitha sa ehsas hua ABHI-ABHI
Aisa laga Apne yaad kia ABHI-ABHI
Itna to yakin hai dil ko mere, har waqt na sahi,
hum yaad to Aate honge Aapko KABHI-KABHI..
Haan mera har lamha chura liya aapne,
Aap ho ki koi chand dikha diya aapne,
Hamein Zindagi di kisi or ne,
Par pyaar itna deke jeena sikha diya aapne.
Duriya hi dil ko nazdik lati hai,
Aur duriya hi ek duje ki yaad dilati hai,
Dur ho kar bhi koi karib hai kitna,
Duriya hi is baat ka ehsaas dilati hai.